Darr ka ehsaas
jo apne paas nahi tha, uske door jaane ka dar hai
jo kabhi apna nahi tha, uske paraaye hone ka dar hai
jisne kabhi aankh na milaayi, uske aankh churaane ka dar hai
Jisne kabhi manaaya nahi, uske rooth jaane ka dar hai
dosti ki nahi kisise kabhi, fir bhi dushmani hone ka dar hai
ibaadat to nahi ki kabhi, fir bhi kaafir banne ka dar hai
jhooth kabhi bola nahi, magar sacchai se dar hai
zindagi to kabhi ji nahi, fir bhi mar jaane ka dar hai
Labels: poem
3 Comments:
marr jaane ka darr... huh....
Churaya hua dialogue... jab tak main hoon... tab tak sab kuch hai.. jab main hi nahin to phir darr kahe ka...
churaaya hua to nahi hai.....lekin haan...koi aur bhi hai shayad jo mujh jaisa hi darpok hai:D:D
darr.... haan shayad.. m very afraid of death... for people whom i care.. not me...
jax
Post a Comment
<< Home