Friday, February 09, 2007

ek dost jo kho gaya.....

sochti hoon mai kabhi kabhi
un guzare palonko yaaad karti hoon
jab tum aaspaas the
mujhe pareshan karte the
tang aa gayi thi mai tumse
tumse door jana tha
tumhaara khayaal nahi karna tha
ekek pal ko bhoolaana tha
kuch acche the, kuch bure the
kuch pal ajeeb se the
yuhi jab kabhi tareef kar dete the
tareef bhi yoon karte jaise ki daant rahe ho
yuhi kabhi jab gussa ho jaate tha
naaraazgi ki wajah pooochti thi mai
to yoonhi muskuraake taal dete the
fursat se kabhi dil ki baat bataate the
kabhi meri baat sunte the
meri zindagi ki badi badi pareshaaniyon ko
kuch lamhonke liye chota karte the
fir apni choti choti pareshaaniyonko badaa karke bataate the
fir yuhi kabhi kuch kehte the
jisse dil ko thes pohonchti
tumhaari saari pyaari baatein ek jagah kho jaati
sochti thi mai ki ye kaun hai
kal tak to ye mera dost tha
aaj ye mera dost nahi
bahot pareshaan hoti thi
tum tab apni duniya mein rehte the
tumhe to ehsaas bhi nahi tha
ki ek dost ko kho chuke the
bahot pareshaan karte the
tang aa gayi thi mai tumse
tumse door jana tha
tumhaara khayaal nahi karna tha
ekek pal ko bhoolaana tha
aaj mai door hoon tumse
tumhe bhoola nahi paa rahi hoon
jitne palonka saath tha
us saath ko saath laayi hoon
jaanti hoon ki tumhari zindagi mein
kuch matlab nahi hai
un guzare huye palonka
us hasne ka us shikan ka
fir bhi sochti hoon mai kabhi kabhi
un guzare palonko yaaad karti hoon

Labels:

0 Comments:

Post a Comment

<< Home